Nabi sahab ki Viladat ke 2 mahine ke baad waalid ka inteqal, 5 saal ki umar mei (575) maa Ka bhi inteqal huwa, 8 saal ki umar mei (578) Dadaji ka inteqal huwa. Chacha Abi Talib ke saath 12 saal ki umar mei jab Shaam ki safar par gaye tab 1 isaai sahab Buhera ne Nabi sahab ke Noorani chehre ko dekhkar ye bisharat di ki ye farzand aalam ke aakhri nabi banenge. Inmei wo sab nishaaniya maujud hai jo Allah ki kitab Taurat aur injeel mei Aakhri nabi ke baare mei batayi gayi hai. Aur isa nabi ki sab amaanate aap ke hawaale ki. San 595 mei jab Nabi sahab ki umr 25 saal thi tab aap ki shaadi Maulatena Khadija se hui jo oon se umr mei 15 saal bade thei. San 601 mei Maula Ali ki viladat KABA mei hui. Ye sharaf seerf Maula Ali ko haasil hai. San 609 mei Aasman se Allah ne Jibraeel ke saath NUBUVAT (Boasat) ka paigam bheja. 27 Rajab ke roz Jibraeel ke saath aap Allah se Rubaru hone padhare, jaha Allah ke huqum par aap ne 1,24,000 Ambiya ko namaz padhayee aur aap sabhi nabiyo ke sardar zaahir kiye gaye. Nabi sahab jab Nubuwat haasil kar ke laute to sabse pehle aap ke haatho par aap k jawza Khadija a.s. Imaan laaye, 2 re iman laane wale shakhs Maula Ali a.s. thei. Iske baad Nabi sahab ne Allah ka paigam Arab ke logo ko pohchana shuru kiya. Kai kabilo ne Islam qubul kiya aur Imaan laaye. San 615 mei Maa Fatema ki viladat hui, jab aap ki umr 4 saal thi tab 619 mei aap ki maa Khadija a.s. ka inteqal huwa.
...... To Be Continue......
Next👉 History Chapter 3