History Chapter 3

Nabi sahab s.a.w. ko nubuwat milte hi oon par Allah ki aur se Quran e paak ki aayaate naazil hona shuru ho chuka tha jo silsila aap ki hayaat tak chalta raha. Nubuwat ke 10 saal baad, san 619 mei Khadija a.s. aur Chacha Abu Talib, dono wafat huwe. 622 mei Allah ke hukum se Nabi sahab ne Makka se Madina HIJRAT ki, Hijrat ki raat Maula Ali a.s. ko apne bistar par aaraam karne farmakar ye bataya ki dushman mere qatal ke liye aayenge. Dushman aaye, par Maula Ali ko dekh kar laut gaye. Oos ke baad Nabi sahab ke 1 aur farman par Maula Ali ne Makka mei unka saara den adaa kiya aur Madina jaakar Nabi sahab se mile. San 622 ki Oos Historical HIJRAT ke base par HIJRI SAN ki shuruat hui. Usi saal, yaani Hijri 1 mei Nabi sahab ne Islam ki pehli masjid "MASJID E KABAA" banai, Masjide Nabvi ki taamir shuru karwai. Ek habsi shakhs BILAL ko Azan dena sikhaya aur apne ashaabo ko aapas mei bhai bhai banaya, Maula Ali a.s. ko apna bhai zaahir kiya.........Hijri san 2 mei Shaban ki 15 (Shab e barat) ke din Qibla Kabatullah ki jaanib kiya gaya jo pehle Baitul Muqaddas ki jaanib thaa. Ramadan ke ROZE farz huwe, pehli Eid, Eid ul Fitra manai gai. Islam ki PEHLI JUNG "JUNG E BADR" hui jisme Kaafir Abu Sufiyan ke saamne Nabi sahab s.a.w. ko FATAH-E-AZIM haasil hui. Isi saal Hijri 2 mei Maula Ali a.s. aur Maa Fatema s.a. ki shaadi hui.

..........to be continued........

Next👉 History Chapter 4