Hijri 57, 3 Safar ko Imam Ali Zainul Aabedin a.s. ke Shehzade Imam Baqir a.s. ki viladat hui. Hijri 60 : 8 Rajab, Imam Husain a.s. Madina se Mecca ke liye rawana huwe. Muawiyah halaq ho chuka tha aur ooska beta Yazid ab Hakem tha aur wo chaahta tha ki Imam Husain oose baet de, taaki wo saare musalmano ka Hakem ban jaaye. Imam Husain a.s. se Madina mei baet lene ki koshish me nakaami ke baad Imam ke qatal ki saajish hone lagi thi, jiska andaza Imam ko ho chuka tha aur apne qatal se Baitullah ki hurmat na jaaye iss wajah se aap Hajj ka Ehram tod kar Kufa ki taraf rawana ho gaye. Jilhaj 8 ko Imam ke chachere bhai Muslim bin Aqil shaheed huwe. Ubedullah bin Ziyad aap ka qatil tha. Muslim ko Kufa ke logo ka jaayza lene Imam ne Kufa bheja tha. Hijri 61 : Moharram 2, Imam Husain a.s. apne ahle bait aur saathiyo ke saath Karbala pohche.
.......to be continued.......
Next👉 History Chapter 10