History Chapter 10

Hijri 61 : Islam par ye saal badi musibato wala tha. Insani itihas ke sabse dardnak zulm huwe. Moharram 10, Aashura ke roz Imam Husain a.s., Abbas alamdar a.s., ahle bait se 18 aur kul 72 shohda Karbala mei 3 dino ke bhukhe aur pyaase shahid kar diye gaye.  Imam Ali Zainul Aabedin 3re Imam qayam huwe. Imam Husain ki shahadat ke baad bimar Imam Ali Zainul Aabedin, Zainab a.s. aur bibiyo ke kaafle ko qaid kar ke Shaam, Yazid ke Darbar le jaaya gaya. Jaha Zainab a.s. ne Yazid se bemisal behas ki. Shaam se riha hokar Imam Ali Zainul Aabedin a.s. Madina laute. Imam Husain a.s. ki shahadat ke baad Zainab a.s. 11 mahine Misr me rahe. Hijri 62 : 16 Rajab ko Zainab a.s.  wafat huwe. Misr mei aap ka aalishan Kubba bana hai oosi ke pass Masjid e Zainabiya bani hai. Iss saal Yazid ke zulm inteha par thei, ooske huqum se Madina ko luta gaya aur hazaro ashaab qatal kiye gaye. Ye waqiya taarikhe Islam mei "Harra" ke naam se mashhur hai. Hijri 63 : Yazid laeen ne Mecca Moazzama par hamla kiya, Baitullah ki diwaro ko minjanik se toda. Hijri 64 : Yazid laeen bahot buri bimari ke azab se halak huwa. Hijri 65 : "Tawwabin" ke naam se ek jama'at Karbala mei jama hui jiske sardar Salman bin Sarad thei. Mazlum e Karbala ki ziyarat ki aur dushmano se badla lene ki kasam khai aur kai dushmano ko halaq kiya. Oos waqt Mukhtar Sakafi kayam huwa aur Mohammed Hanifa ke naam se dawat ki aur sabhi kaatilane Shohda e Karbala ko halak kiya. Imam Ali Zainul Abedin a.s. ki khidmat mei Ubedullah bin Ziyad aur Umar bin Sa'ad ke sar bheje. Imam ne shukar ke sajde bajaaye. Hijri 72 : Hajjaj bin Yusuf ne bahot fitnate ki, hazaro shiyao ko shahid kiya. Mecca par hamla kiya aur fir ek baar Baitullah ki diwaro ko minjanik se toda gaya. Hijri 83 : 17 Rabi ul Awwal, Madina mei Imam Jafarus Sadiq ki viladat hui. Hijri 94 : Imam Ali Zainul Abedin Madina mei wafat huwe. Imam Mohammedil Baqir a.s. 4th Imam kayam huwe.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 11