Hijri 41 : Imam Hasan a.s. Muawiyah se jung ke liye nikle, jung mei Muawiyah ne Imam ke lashkar ko laalach dekar apni aur kar liya, Imam Hasan ne Islam ko bachane ke liye Muawiyah ke saath kai sharto par sulah ki. Iss sulah mei bhi Muawiyah ko apni haar nazar aayi aur sulah ki sharto se mukar gaya aur Imam Hasan a.s. ko qatal karne ki saajishe rachne laga. Aakhir aap ki jawza jaada (Laina) ko Yazid se shaadi aur bahot daulat ka laalach dekar aap ko zahar (Hirkani) pohchaya, jis se Imam Hasan a.s. Hijri san 51, 28 Safar ko shahid huwe. Imam Husain a.s. 2 re Imam kayam huwe.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 9