History Chapter 7

Hijri 24 mei 2nd Khalifa ne 3rd Khalifa tay karne ke liye Shura (committee) kayam ki, jis me sabhi ne Maula Ali a.s. ke Haq ka ikrar kiya lekin laalach mei aakar faisla alag hi zaahir kiya. Hijri 30 mei Misr fateh huwa. Nabi sahab s.a.w. ke wafat ke 24 saal baad Hijri 35 mei MAULA ALI A.S. zaahiri KHILAFAT par aaye. Isi saal Basra mei JAMAL ki jung hui, Maula Ali a.s. ko fateh hasil hui. Hijri 37 mei Siffin ki jung Muawiyah se hui. San 38 : Hazrat Mohammed bin Abu Bakar (pehle khalifa ke bete) wafat huwe jo Maula Ali a.s. ke khaas madadgar thei. (Rishto ki agar baat ho to ye jaanna bhi zaruri hai ki pehle aur dusre ye dono zaahiri khalifa Nabisahab s.a.w. ke sasur thei). Hijri 40 : Neharvan ki jung hui. Kufa ki masjid mei Laeen Ibne Muljim ki zehri talwar se Maula Ali a.s. shaheed huwe. Tab aap ki umar 63 saal thi. Nabi sahab ke kaem maqam ke taur par 30 saal aur zaahiri khilafat par 4 saal 9 mahine kaayam rahe. Maulana Hasan a.s. pehle Imam kayam huwe. (Hum Maula Ali a s. ko Nabi sahab s.a.w. ke WASI aur Imam Hasan a.s. ko pehle Imam maante hai jab ki Islam ke baaki firke Maula Ali a.s. ko pehle Imam maante hai.)

..........To Be Continue........

Next👉 History Chapter 8