History Chapter 5

Hijri 6
Kaafaro ke  saath Nabi saheb s.a.w. ne Hubediya sulahnama kiya, Banil Mustalak ki jung hui. Kai mulko ke badshah, kabilo ke sardar, aur mashhur hastiyo ko Nabi sahab s.a.w ne Islam ke farman bheje. San 7 : Habsha ke badshah ne Duldul aur Mariyatul Kibtiya jaise hadiye Nabi sahab s.a.w. ko bheje. Nabi sahab ne Habiba, Memuna aur Safiyah ke saath Nikah kiye. Isi saal Khaibar ki jung hui jisme Maula Ali a.s. ki shuja'at aur taqat zaahir hui, Marhab jaise pahalvan ko qatal  kiya aur Khaibar ke kile par fateh haasil ki. Iss fateh ki khushi mei Nabi sahab s.a.w. ne BAAG E FADAQ ka tohfa Maa Fatema a.s. ko diya. Jung ke baad Maula Ali a.s. ke bhai Maulana Jafar Habsha se padhare,  jis par Nabi sahab s.a.w. behad khush huwe aur Maulana Jafar ko 1 nirali bakhshish di, unko Tasbil Aazam ki 4 rakaat padhne ka tarika bataaya. Hijri 8 : Muta ki jung hui jis mei Maulana Jafarut Tayyar shahid huwe. Aap ki qabr mubarak Amman, Jordan mei hai. Mecca par Fateh haasil hui. Kabatullah ki diwaro par kai boot thei jinki parasti hoti thi. Nabi sahab s.a.w. ne Maula Ali a.s. ko weh saare boot diwaro se hataane ka huqum kiya aur apni pith par par sawar kar ke  diwar par chadhaya. Saare booto ko hataane ka azim kaam anjaam dene par Jibraeel a.s. ne apne paro par sawar kar ke Maula Ali a.s. ko Kabatullah ki diwar se utaara.  Nabi sahab s.a.w. ke farzand Ibrahim a.s. ki viladat hui. Aap ki shehzadi Zainab ka inteqal huwa. Hunain ki jung hui, fateh haasil hui.

.........To be continue.......

Next👉 History Chapter 6