History Chapter 6

Hijri 9
Tabuq ki jung hui jo Nabi sahab s.a.w. ki hayat ki aakhri jung thi. Maula Ali a.s. ke hatho par fateh haasil hui. Nabi sahab ki shehzadi Umme Kulthum aur shehzade Ibrahim wafat huwe. Hijri 10 : Nabi sahab s.a.w. ne aakhri Hajj ada ki, Hajj se faarig hokar GADIR'E-KHUM mei 18 JILHAJJ ke roz 70,000 logo ke saamne AMIRIL MUMININ MAULA ALI A.S. PAR NASS KI, UNKA HAATH UTHAKAR LOGO KO DIKHAKAR "MAN KUNTO MAULA FA HAZA ALIYUN MAULA" ki NIDA ki. Hijri 11 : 28 Safar ke roz Nabi sahab s.a.w. wafat huwe. Nabi sahab s.a.w. ki wafat ke baad Maula Ali a.s. ke dushman SAKIFE mei ekattha huwe aur NABI SAHAB ki MAULA ALI A.S. par ki hui nass ka inkar karke unka haq chhin liya. Baag e fadaq bhi chhin liya. Iske baad jo zulm huwe wo taqriban sabhi mumino ko pata hai, waazo mei suna hai. Nabi sahab s.a.w. ki wafat ke 70 dino baad 10 Jumadil awwal ko Maa Fatema a.s. wafat huwe. San 14 mei Islami fauj ne Damisq jit liya, san 17 mei Syriya jit liya. Baad ke saalo mei Iran ke badshah Yazdjard ke saath kai jung hui aur aakhir mei Madaeen ki jung mei Maula Ali a.s. ke haatho par fateh haasil hui, iss jung mei Salman Faarsi ki Bahaduri ke bhi parche dikhe. Irani saltanat ke shaahi khaandan ke aur fauj ke kai Amir jo qaid huwe thei unhe Maula Ali a.s. ne riha kar diya. Jinme Badshah Yazdajard ki beti Shehre Bano a.s. bhi thi jinho ne apni marzi se Imam Husain a.s. se shaadi ki, jin ke farzand Ali Zainul Abedin a.s. ki nasal mei Imamat aaj bhi jaari hai.

.......To Be Continue......

Next👉 History Chapter 7