Hijri 1220 : Syedna AbdeAli Saifuddin ne Surat mei Masjid-e-Aazam banwayi. Hijri 1228 : Saurashtra aur Kutch mei akal pada. 12000 mumineen ko Syedna AbdeAli Saiduddin ne Surat mei aasraa diya. Hijri 1229 : Surat mei Daras-e-Saifiyah ki imarat bani aur yaha mazhabi taalim shuru ki gayi. Hijri 1232 : 12 Zilqad Syedna AbdeAli Saifuddin wafat huwe. Aap ne Syedi Jivanjee (Aurangabad) ke farzand aur apni 1st Jawza Amatullah aaisaab ke bhai Syedna Mohammed Izzuddin par nass ki thi jo 44th Dai bane. Syedi Jivanjee 5 doato ke daur mei dawat ki khidnat mei thei. Aap ki khidmat ka fal mila. Hijri 1236 : 19 Ramadan, Syedna Mohammed Izzuddin Surat mei wafat huwe, aap ke bhai aur Syedi Jivanjee ke dusre bete Syedna Tayyeb Zainuddin 45th Dai bane. 23 Zilqad Syedi Sadikali (Nasihat ke writer) Surat mei wafat huwe. Hijri 1237 : Surat mei Tapti nadi mei baadh aayi, Syedna Zainuddin ne aawaam ko anaaj aur khaana mohaiyya karwaya. Hijri 1240 : Syedna Zainuddin ko Legislative council mei chun liya gaya. Syedna Abdeali Saifuddin ke farzand Mohammed Badruddin ka misak huwa Hijri 1241 : Syedna Zainuddin ne apni dukhtar Amatullah se Syedna Mohammed Badruddin bin Syedna AbdeAli Saifuddin ki shaadi ki. Syedna Zainuddin ke farzand Abdulqadar Najmuddin ka Misak huwa. Hijri 1246 : Syedna Zainuddin ne Yemen mei Syedna Hatim ka Kubba banwaya. Hijri 1252 : Syedna Zainuddin ne Syedi Heptullahbhai ko Mazun aur Syedna Abdeali Saifuddin ke farzand aur apne damaad Syedna Mohanmed Badruddin ko Mukasir kayam kiya. Zilqad 15, Syedna Zainuddin Surat mei wafat huwe. Syedna Mohammed Badruddin bin Syedna AbdeAli Saifuddin 46th Dai bane.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 37