History Chaptr 37 : 15 Zilqad Hijri 1252 se 29 Jamadil Aakhir Hijri 1256.....3 saal aur 7 mahine tak 46th Dai Syedna Mohammed Badruddin dawat ke takht par rahe. 29 Jamadil Aakhir 1256, aap 30 saal ki bahot chhoti oomer mei wafat huwe. Aap ke achanak wafat hote hi Nass na hone ki surat mei dawat ka nizam ab kaise chale iss mudde par dawat ke aala aalimo ne Syedna Abdulqadar Najmuddin bin Syedna Tayyeb Zainuddin ko NIZAM DAI banakar dawat ka nizam chalane ka faisla kiya tha. Syedna Abdulqadar Najmuddin 46 saal tak Dawat ke takht par rahe. Aap Hijri 1302, Rajab 26 ko Ujjain mei wafat huwe. Aap ke baad aap ke bhai Syedna Abdulhusain Husamuddin 48th Dai bane. 27 Jilhaj 1308, Syedna Husamuddin Ahmedabad mei wafat huwe. Aapke bhatije, Syedna Abdulqadar Najmuddin ke farzand Syedna Mohammed Burhanuddin 49th Dai bane. 27 Jilhaj Hijri 1323 ko aap Surat mei wafat huwe. Ab 48th Dai Syedna Husamuddin ke farzand Syedna Abdullah Badruddin 50th Dai bane. 10 Rabiul Awwal Hijri 1333 ko aap Surat mei wafat huwe. Ab 49th Dai Syedna Burhanuddin ke farzand Syedna Taher Saifuddin 27 saal ki oomer mei 51st Dai bane. 19 Rajab 1385 tak 53 saal tak aap dawat ke takht par rahe. Aap ke daur mei kai mukaddame chale. 47th Dai par Nass ke vivad ka mukaddama bhi chala tha. Oon mukaddamo ke faislo ki details mohaiyya nahi hai. 51st Dai ke daur me hi mulq aazaad huwa. Syedna Taher Saifuddin ko 4 Jawza se 24 farzand huwe. 15 bete aur 9 beti. 3 bete choti oomer mei hi aur 1 beti Sakina bensaab misak ki oomer mei wafat ho gaye. 19 Rajab 1385 ko 51st Dai Syedna Taher Saifuddin Matheran mei wafat huwe. Aap ke farzand Syedna Mohammed Burhanuddin 52nd Dai bane. 17 Shaban 1385, 19 Rajab 1432 ko Syedna Burhanuddin ko London ki Hospital mei major attack aaya. 16 Rabiul Awwal 1435 ko Syedna Mohammed Burhanuddin wafat huwe.
.......To be continued......