Hijri 1196 : 41st Dai Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin ne Shaikh Habibullah ko Ujjain se Burhanpur Darul Imarat ki taamir ke liye bheja. Dawat ka markaz Ujjain se Burhanpur shift huwa. Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin ne Namaz mei har Faraz ke baad Takarrub ki dua padhne ki rasam shuru ki. Fajar ki namaz ke baad Yasin aur Innallah padhne ki hasanaat bhi aap ne shuru karwai. Aashura ke bayaan ka riwaz bhi aap ne shuru karwaya aur waaz mei Panjatan, Imams aur Doato ke bayan ho aise farman jaari kiye. Hijri 1200 : 4 Safar, Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin wafat huwe. Aap ke farzand Syedna Yusuf Najmuddin 42nd Dai bane. 20 Zilqad, Syedi Jivanjee ke farzand Maulai Valibhai ko Majdua (Hibtiya firqe) ke logo ne Aurangabad mei Shaheed kiya. Hijri 1204 : 14 Rabiul Awwal, Maulai Ismailjee bin Maulai Abde Musa bin Syedna Ismail Badruddin ko Godhra mei Bhilo ne shaheed kiya. Syedna Yusuf Najmuddin ne Burhanpur mei apne chhote bhai Abdeali Saifuddin ki shaadi Syedi Jivanjee ki beti se ki. Hijri 1207 : Syedna Yusuf ne Dongam mei Hinsustan ki zamin par wafat huwe pehle auliya Syedi Nooruddin (refer Chapt 17 for details) ka Kubba banwaya. Hijri 1209 : 29 Shaban, Syedi Jivanjee Burhanpur mei wafat huwe. Hijri 1212 : Syedna Yusuf Ahmedabad padhare, jaha haalaat bahot kharab thei, mumin badi taklifo mei thei. Aap ne kabrastan me kai kabaro ki taamir karwai. 8 doato ke kubbe banwaye. Aap ki Ahmedabad ki safar se Mumino mei khushhaali chaa gai. Hijri 1213 : 18 Jamadil Aakhir, Syedna Yusuf Najmuddin 36 saal ki jawan umar mei Surat mei wafat huwe. Aap ne Dawat ka markaz Burhanpur se Surat Shift kiya tha. Aap ke chhote bhai Syedna AbdeAli Saifuddin 43rd Dai bane.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 36