History Chapter 32

Hijri 1091 : Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin Ahmedabad ke mumineen ki arz par Ahmedabad padhare, jiski chugli munafekin ne Hakem se ki aur mumineen par badi aafate aayi. Syedna makhfi mei Jamnagar chale gaye. 900 se zyaada mumino ko Ehdi ne qaid kiya aur Aurangabad/Ahmednagar Aurangzeb ke darbar ki or le gaya. Tab akal pada, baarish band ho gayi. Mumino ka chhutkara huwa, jinmei se kai mumin bhukh/pyaas ki wajah se raaste mei hi  guzar gaye.  Hijri 1094 : Oon qadiyo mei Maulai Najamkhan bhi thei, Jo Aurangabad mei 18 Safar ko wafat huwe. Hijri 1102, 4 Rajab, Syedi Hasanji Badshah Ujjain mei wafat huwe. Hijri 1110, Zilqad 12, Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin Jamnagar mei wafat huwe. Syedna Musa Kalimuddin 36th Dai bane. Hijri 1114 : Rampura mei Syedi Bawa Mulla Khan 29 Shawwal ko wafat huwe. Aap ne apne farzand Syedi Abdulqadar Hakimuddin ko Jamnagar mei  Dai ki khidmat mei saup diya tha. Huwa kuch yu tha ki Syedi Hakimuddin ki Tilawat e Quran sharif sunkar waha ka gair muslim Hakem bahot impress huwa tha aur khud Quran sharif sikhne ki khwahish ki thi. Syedi Hakimuddin ne unhe Quran sharif ki tilawat ki taalim di, jiske ewaz mei Hakem ne Syedi Hakimuddin ko Malwa mei zamin ka hadiya diya. Iss waqye se aap ke waalid Syedi Bawa Mulla Khan khafa huwe aur farzand dunya ki daulat ki laalach mei na pad jaaye is liye Syedi Hakimuddin ko Dawat ki khidmat ke liye Dai ko saup diya.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 33