Hijri 1117 : Syedna Musa Kalimuddin ne Syedi Abdulqadar Hakimuddin ko dawat ke liye Ujjain bheja. 1118 : 2 Moharram Syedi Khanjifir Udaipur mei wafat huwe. 1119 : Syedna ne Syedi Hakimuddin ko hadiyat se nawaza. 1120 : 10 Rabiul aakhir, Maulai Abdurrasul Banswada mei wafat huwe. 1122 : Rabiul Aakhar 22, Syedna Musa Kalimuddin wafat huwe. Syedna Noor Mohammed Nuruddin 37th Dai bane. Jamnagar ka Jam Syedna ka dushman ho gaya, syedna ko giraftar karne police daudayi. Syedna Nuruddin makhfi mei Morbi chale gaye. Waha masjid banai. 1124 : Dushman Jam wafat huwa, naye Jam Jesingh ne Syedna ko Jamnagar aane ki dawat di, aap ne qubul kiya aur Jamnagar padhare. Masjidun Noor taamir karwai. Syedi Abdulqadar Hakimuddin ko Mukasir ke rutbe mei kayam kiya. 1130 : Rajab 4, Syedna Noor Mohammed Nooruddin wafat huwe. Aap Mandvi mei oos zamin par madfun hai jo aapne ujjad hote huwe bhi kharidi thi. Syedna Ismail Badruddin 38th Dai bane. 1136 : Syedna Ismail Badruddin ne Syedi Abdulqadar Hakimuddin ko Mazun ke rutbe mei kayam kiya aur apna mansus banaya. Hijri 1142, Dawat se faarig hokar raaste mei Syedi Abdulqadar Hakimuddin Burhanpur mei thehre thei. Ramadan wahi kiya. Aap ki tabiyat naasaz hui aur Shawwal 5 ko aap wafat huwe. Aap ko masjid ke sehen mei dafan kiya gaya. Tab aap ke dushman ne (jis se 1 mumin ko aap ne karz ke changul se churaya tha) Nizam ke Haakim se ye fariyad ki ke aapko masjid mei dafan kiya hai aur qabar mei Quran e paak rakha hai. Dafan ke 21 dino ke baad 27 Shawwal ko dushmano ne qabar khodkar laash nikaali to laash ekdam taaza aur khushbudar nikli. Aap ki karamat zahir hui. Dushman hakke bakke reh gaye. Tab aap ko jaha aaj kubba hai waha dafan kiya gaya.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 34