History Chapter 31

Hijri 1058 : Syedna Qutbuddin ki shahadat ke baad Aurangzeb ki qaid se riha hokar Syedna Firkhan Shujauddin Lahor se Ahmedabad padhare, munineen ne aap ka isteqbal kiya. Hijri 1060 : Gujarat ke suba Geratkhan ne feer Syedna Firkhan ko qaid kiya. 1061 : Hujumiya firqa bana jiske baani Yusuf, Ahmed wagairah thei. Hijri 1062 : Gujarat ke Suba Shaestakhan ne Syedna Firkhan se paiso ki demand ki, aap ne Rs. 20,000/- diye. Aise hi dawat ki hifazat ke liye Dusre ek suba Shah Muraad ko bhi aap ne kuch rakam di. Hijri 1065, 9 Zilqad, Syedna Firkhan wafat huwe. Syedna Ismail Badruddin 34th Dai bane. Hijri 1074 Syedi Hasanji Badshah ki shaadi Shironj mei hui. Iss daur mei Jam Ranjitsingh ne Jamnagar Shahar basaya aur Syedna Ismail Badruddin ko Jamnagar aakar basne ki dawat bheji. Aap ko aur qaum ko har suhulat dene ka waada kiya. Ahmedabad mei dawat ke liye haalaat thik nahi thei isliye Syedna Ismail Badruddin Jamnagar Padhare aur Dawat ka markaz Ahmedabad se Jamnagar aaya. Hijri 1076 : Syedi Hasanji Badshah ke waalid Syedi Shamskhan Surat mei wafat huwe. Syedna Ismail ne apne mansus Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin ko dawat ke liye Udaipur bheja. Hijri 1077 : Rampura mei Syedi Bawa Mulla Khan ke ghar Syedi Abdulqadar Hakimuddin ki viladat Jamadil Awwal 14 ko hui. Hijri 1081 : Dai ne Syedi Hasanji ko dawat ke liye Ujjain bheja. Hijri 1085, Jamadil aakhar 23, Syedna Ismail Badruddin wafat huwe. Syedna Abultayyeb Zakiyuddin 35th Dai bane.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 32