History Chapter 30

Hijri 1039 : Syedna Ismail Badruddin ke waalid Maulai Raj bin Maulai Dawood Jamnagar mei wafat huwe. Hijri 1041 : Syedna Abdultayyeb Zakiyuddin ne Yemen mei Syedna Ali Shamsuddin par nass ki aur 2  Rabiul awwal ko aap wafat huwe. Syedna Ali Shamsuddin 30th Dai bane. Aap Nabi sahab ki duao ki badaulat Walid khaandan se huwe 18 dai ke silsile ke aakhri dai thei. Ek hi saal mei Hijri 1042, Rabiul awwal 25 ko aap 31st Dai Syedna Kasimkhan Zainuddin (Ahmedabad) par nass karke wafat huwe. Hijri 1054 : Shawwal 9, Syedna Kasimkhan Zainuddin wafat huwe. Syedna Kutubkhan Kutbuddin 32nd Dai bane. Ye Aurangzeb ka daur tha. Dawat ke dushmano se dawat ki tarraki aur shaan dekhi nahi jaa rahi thi. Oon ke sardar Kasim andhe ne Aurangzeb ke ustaad Abdul Gavi se Syedna Kutbuddin ki shikayat ki aur kai juthe ilzam lagaaye. Apne ustad ke bhadkane par Aurangzeb ne Syedna Kutbuddin ko giraftaar karne ka hukum diya. Syedna Kutbuddin aur aap ke mansus Syedna Firkhan Shujauddin dono ko giraftar kiya gaya. Kai baar darbar mei haazir kiya gaya. Syedna ne darbar mei Rafezi hone ke ilzam se inkar kiya. Dawat ki kitabe bhi  kabze mei li gayi. Syedna ko Rafezi saabit karne ki bahot koshish ki gayi. Har koshish ke baawjood koi surag na milne par ek jutha mehzara tayyar kiya gaya ki Syedna Rafezi hai aur aap ka qatal halal hai. Iss mehzare  par kai muslim leaders ke dastakhat liye gaye. Aakhir Hijri 1056, 27th Jamadil Aakhir Syedna Kutbuddin ko Shaheed kiya gaya. Aap ke shaug mei aap ki shehzadi Ajab bu wafat huwe. Syedna Firkhan Shujauddin 33rd Dai bane.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 31