History Chapter 29

Hijri 1005 : Lahor mei Sulaiman wafat huwa, ooske janaze ko Ahmedabad laaya gaya. Hijri 1007 : Lahor se fateh haasil karke Syedna Dawood bin Qutubshah Ahmedabad padhare. Aap ka shaandar isteqbal huwa. 1008/1009 : Fateh mubin ki khushi mei aap ne Ahmedabad mei 1 badi masjid aur haveli banayi. Hijri 1019 : Badshah Jahangir ne vyopar ki aazadi aur amaan ka farman Syedna Dawood ko likhkar diya. Hijri 1021 : 15 Jamadil Aakhir, Syedna Dawood bin Qutubshah wafat huwe. Syedna Shaikh Adam Safiyuddin 28th Dai bane. Aap ne Sulaiman ki fitnat ke daur mei kaafi taklife sahi thi, kai baar qaid huwe thei, yaha tak ki aap ko ulta taangkar peeta gaya tha lekin aap ne har zulm sehkar dawat ki hifazat ki thi. Hijri 1030 Rajab 7, Syedna Shaikh Adam Safiyuddin wafat huwe. Aapne Syedna Abdul Tayyeb Zakiyuddin bin Syedna Dawood bin Qutubshah par nass ki thi, jo 29th Dai bane. Syedna Shaikh Adam Safiyuddin ki nasal ke Ali bin Ibrahim shuru mei to 29th Dai ki ita'at ki, lekin kuch arse baad riyasat ki lalach mei khud Dai hone ka dawa kiya aur badshah Jahangir ke darbar mei fariyad le gaye. Syedna Zkiyuddin bhi apne waalid ki tarah Lahor padhare aur fateh haasil ki. Lekin dawat mei 1 firqa aur pad gaya aur Ali bin Ibrahim ko maannewale Aliya Vohra kehlaaye.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 30