Hijri 998/999 : Syedi Kaazikhan Halwad mei, Syedi Miyaji bin Taj Umreth mei wafat huwe. Hijri 1001/1002 : 4 saal tak 27th Dai Syedna Dawood bin Qutubshah ko Dai maankar unhe khat likhkar wafadari batanewale Sulaiman ne Yemen mei Khud Dai hone ka dawa kar diya. Huwa kuch yu tha ki...Syedna Dawood bin Ajabshah ke 2 bete, 1 damaad, 2 laundi aur 1 munshi Raj Mohammed yeh 6 logo ne dawat ke khazane mei badi hera pheri ki thi. Iski tehqikat hone par ye sab Syedna Dawood bin Qutubshah ke khilaf ho gaye aur Syedna Dawood bin Ajabshah ka Sulaiman par nass ka jutha khat banakar Yemen, Sulaiman ko bheja. Tab Sulaiman ne Yemen mei khud Dai hone ka dawa kar diya. Yemen mei Maulai Malak, Maulai Chandji qaid kar liye gaye. Hindustan mei Syedna Dawood bin Qutubshah par 18 lakh ka dawa Gujarat ke suba Muradshah ke paas kiya. Rishwate dekar mumino par musibate ootari. Syedna Shaikh Adam, Maulai Khoj bin Malak qaid huwe. Aakhir mei oos case mei Syedna Dawood bin Qutubshah ki jeet hui. Hijri 1003 : Sulaiman Yemen se Hindustan aaya aur Lahor Akbar badshah ke darbar mei jakar Syedna Dawood par feer se case kiya. Iss par Fazalkhan naam ka afsar Ahmedabad aaya aur feer se Syedna Shaikh Adam aur kai mumin qaid huwe. Dai Syedna Dawood bin Qutubshah Makhfi ho gaye. Tab Haakim Ali ki shifarish se mumino ka qaid se chhutkara huwa, Akbar badshah ne amaan ka khat bheja aur Syedna Dawood bin Qutubshah se milne ka irada zahir kiya. Hijri 1004 : Rajab 22 ko Syedna Dawood bin Qutubshah Lahor padhare jaha aap Haakim Ali ke mehman bane aur aapka Shahi isteqbal huwa. Waha se aap Badshah Akbar se milne Kashmir padhare , mulakat hui aur Akbar Badshah ne faisla aap ke haq mei diya. Yeh faisla ek buniyadi faisla tha, Syedna Dawood bin Qutubshah ki fateh hui aur tab se humari pehchan aap ke naam se "DAWOODI VOHRA" hui.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 29