History Chapter 27

Hijri 946 : Jis saal Dawat ka markaz Hind aaya usi saal Syedna Dawood bin Qutubshah ki viladat hui. Hijri 948 Hind ke mughal shahenshah Humayu ne muminin ko vyopar me azaadi aur amaan ka farman likhkar diya. Hijri 951 Syedna Yusuf Najmuddin Syedna Jalal ko Hind ke waali banakar Yemen tashrif le gaye. Hijri 956 : 10 saal ki oomer mei Syedna Dawood bin Kutubshah Hafezul Quran huwe. Hijri 963 : Syedna Dawood bin Qutubshah Yemen Syedna Yusuf Najmuddin ki hazrat mei ilm haasil karne padhare. Hijri 974 : Zilhaj 16, Syedna Yusuf Najmuddin Yemen mei wafat huwe. Aap ne Syedna Jalal Shamshuddin par nass ki thi jo 25th Dai bane. Oos waqt aap kaafi bimar thei  seerf 4 mahine takhte dawat par rehkar aap Hijri 975, 16 Rabiul Aakhar ko wafat huwe. Syedna Dawood bin Ajabshah 26th Dai bane. Hijri 985 : 30 Zilqad, Syedna Dawood bin Qutubshah ke ghar Syedna Kutubkhan Kutbuddin ki viladat hui. Hijri 990 : Syedna Ismail Badruddin ibne Maulai Raj ki viladat hui. Hijri 997 : 27 Rabiul Aakhar, Syedna Dawood bin Ajabshah wafat huwe. Syedna Dawood bin Qutubshah 27th Dai bane. Yemen se Sulaiman ne Syedna Dawood bin Qutubshah ko 26th dai ki taaziyat aur oonki takhtnashini ki mubarakbaad ka khat likha aur Syedna Dawood bin Qutubshah ke Dai hone ka ikrar kiya.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 28