Hijri 883 : Wali-e-Hind Maulai Hasan Ahmedabad mei wafat huwe. Hijri 908 : Mehmoodshah ne Ahmedabad mei dawat ke 5 fozela ko shahid kiya, jo panch shahid ke naam se mashhoor hai 1) Mulla Masood 2) Mulla Malakshah 3) Mulla Ismail 4) Shaikh Ahmed 5) Shaikh Burhan. Hijri 918 : Shaban 5, Syedna Hasan Badruddin wafat huwe. Syedna Husain Husamuddin 21st Dai bane. Hijri 925 : Moharram mei Wali e Hind Maulai Raj bin Maulai Hasan wafat huwe. Jamadil Aakhir 29 Maulai Raj bin Dawood shahid huwe. Hijri 933 : Shawwal 10, Syedna Husain Husamuddin wafat huwe. Syedna Ali bin Syedna Husain 22nd Dai bane. 41din mei hi aap wafat huwe aur Syedna Mohammed Izzuddin 23rd Dai bane. Iss daur mei Hindustan se Yemen ilm haasil karne jaane ka silsila jaari tha, aur Hindustan ke talebat ilm ke imtehano mei ikhlas ke saath kaamyab ho rahe thei, jin mei Syedna Yusuf Najmuddin, Syedna Jalal Shamshuddin, Syedna Dawood bin Ajabshah bhi shaamil thei. Hijri 946 (Roman saal 1539) mei Dawat ka markaz Yemen se Hindustan aaya. 23rd Dai Syedna Mohammed Izzuddin ne Yemen mei dawat ke liye haalaat munasib na paakar apne talebat Syedna Yusuf Najmuddin Siddhpuri par Nass zahir ki aur Dawat ka markaz Hindustan muntakil huwa. Hijri 946 : Safar 27, Syedna Mohammed Izzuddin wafat huwe aur Syedna Yusuf Najmuddin Doato ke silsile ke 24th Dai aur Hindustan ke pehle Dai bane.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 27