History Chapter 25

History Chpt 25 : 18th Dai Syedna Ali Shamsuddin ke daur mei Jafar ne (jo Yemen jaakar ilm haasil kar aaya tha) Bharuch aur Ahmedabad mei Dai ki raza bina imamat se namaz padhana shuru kiya. Dai ki aur se aisa na karne ka huqum aaya tab Jafar ne Shiya firqa chhor diya aur Patan jaakar logo ko behkakar apna JAFARIYA firqa banaya. Hijri 830 ke baad Yemen mei bhi halaat bahot kharab thei. Sana'a ke haakim ne dawat ke ilaake Zamarmar aur Af'eda par qabza kar liya. Mumino ki milkate loot li gayi. Mazars tod diye gaye.  Syedna Ali ko shibam ka apna makan chhorkar Gassan mei Malik Ashraf ka aasra lena pada. Ashraf ne aap ko bahot maan diya. Par kuch hi waqt mei Gassan mei bhi balwa huwa, Malik Asfraf qaid huwe aur balwakhoro ne Syedna ko gaon chhor dene ki salah di. Syedna Ali feer se Shibam chale gaye. Hijri 832, 3 Safar ko aap wafat huwe. Syedna Idris Imaduddin 19th Dai bane. Aap ki shaan nirali thi. Dawat ki mahan kitab "Uyunul Akhbar" aap ne likhi, jo Fatemi Itihas ki bahot ahem kitab hai. Aur bhi kai kitabe aap ne likhi hai. Aap ko Fatemi History ke pehle Historian thei. Hijri 836, Safar 13, Hindustan mei, Ahmedabad mei Maulaya Adam bin Suleman wafat huwe. Aap ne 5 doato ke daur tak dawat ki khidmat ki. Syedna Idris ke daur mei Ahmedabad mei Jafar ki fitnat ki aag lagi hui thi. Hazaro mumin shaheed huwe. Kai mumin dawat ke daayre se nikalne lagey. Aise daur mei Maulaya Hasan aur Maulaya Raj raat ke andhere mei fakiri libas mei mumino ke mohallo mei nikalte aur unhe dawat ke daayre mei rehne ke liye samjaate. Iss dauran Yemen mei Kolera ki bimari faili thi, jis mei kai masaekh aur mumin wafat huwe. Aise kaher ke waqt mei Syedna Idris ne DAFEEL AAFAT ki 2 rakat namaz aur dua ki rasam shuru karwai. Aap hijri 872 Zilqad 19 ko wafat huwe aur Syedna Hasan Badruddin 20th Dai bane.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 26