History Chapter 21

Hijri 605, Zilqad 25, Syedna Ali bin Syedna Hatim wafat huwe. Aap ke mansus Syedna Ali bin Mohammed 5th dai bane. Nabi sahab s.a.w. ne Yemen mei Utba ki waadi ke angur tanawul kiye thei. Aisi riwayat hai ki aap ne angur ke 18 daane tanawul karke dua farmayi thi, jiske natije mei Utba ki nasal mei Yemen mei 18 dai huwe. 5th dai Syedna Ali bin Mohammed is kadi mei pehle dai thei. Hijri 612 : Shaban 27, Syedna Ali bin Mohammed wafat huwe, Syedna Ali bin Hanzala 6th dai kayam huwe. Nazam mei Haqikat bayan karnewali kitab "SIMTUL HAQAEK" aap ne likhi thi. Aap ne har gaon mei aamil kayam kiye. Hijri 626 Rabiul awwal Syedna Ali bin Hanzala wafat huwe. 7th dai Syedna Ahmed bin Mubarak kayam huwe. 627, 28 Jamadil aakhir ko aap wafat huwe aur 8th dai Syedna Husain bin Syedna Ali kayam huwe.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 22