8th Dai Syedna Husain bin Syedna Ali 40 saal takht par rahe, kai aala kitab likhe. Aap Hijri 667, 22 safar ko wafat huwe. Syedna Ali bin Syedna Husain 9th Dai kayam huwe. Aap ke daur mei Sana'a Yemen mei Sultan, kabile aur Zaidi firke ke darmiyan jung chid gayi thi. Halaat dekhkar aap Arus chale gaye. Hijri 682, Zilqad 13, Syedna Ali bin Syedna Husain wafat huwe. 10th Dai Syedna Ali bin Husain takht par aaye. Aap deen aur duniya dono ilm mei aalim thei. Hijri 686, 1st Safar, aap wafat huwe. 11th Dai Syedna Ibrahim bin Syedna Husain kayam huwe. Aap ki azmat aur jaho jalal ke danke bajte thei. Aap ke zaman mei bahot mumin dawat mei shaamil huwe. Aap Hijri 728, Shawwal 10 ko wafat huwe. 12th Dai Syedna Mohammed bin Hatim kayam huwe. Agle hi saal 729, Jilhajj 1 ko aap wafat huwe. 13th Dai Syedna Ali Shamsuddin bin Syedna Ibrahim kayam huwe. Aap bahot bahadur aur sakhi thei. Hijri 730, Zamarmar ke qile par aap ne Banu Tajuddin Yahya ko shikast di. Iske baad Rakban ke ilako par bhi fateh haasil ki.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 23