Pehle Dai Syedna Zoeb ke daur se Dawat ka centre Yemen tha aur Hindustan mei pehle waali Maulaya Yakub Patan mei aur Maulaya Abdullah Khambhat mei dawat faila rahe thei. Hijri 546 Syedna Zoeb Moharram 10, Aashura ke roz wafat huwe. Aap ke Mazun Syedna Ibrahim dusre dai bane. Hijri 554 Syedna Hatim Mazun bane. Hijri 557 : Shaban 16, Syedna Ibrahim wafat huwe, Syedna Hatim tisre dai bane. 21st Imam ko parde huwe kai saal beet chukey thei tab 1 magribi shakhsh ne zaahir kiya ki woh sachche Imam ke baare mei jaanta hai. Oosne bataya ki ooske 1 Spenish dost Undulusi ne West Aafrica ke pahado ke paar maidani ilaake mei Imamuttayeb a.s. ke didar kiye aur misak diya. Imam tak pahochne ke liye unhe kai chowkidaro ke pehre paar karne pade thei. Hijri 596 : Moharram 16, Syedna Hatim wafat huwe. Aap ka daur bahot sa'adat ka daur tha. Aap ke lashkar ko Sana'a ke haakim ke lashkar se jung mei fateh hasil hui thi. Aap ek gufa "Kahefunnaim" mei baithkar kitabe likhte thei aur waaz farmate thei. Aapki tashnifat mei "Tambihul Gafelin" "Tohfatul Qulub" "Almajalesul Hatemiyah" "Mafatehunneam" vagairah mashhur hai. Aap KAAZIL HAAJAT kehlaate hai. Haajatrawai ke liye aaj bhi hum inke naam ki Daris karwate hai. Syedna Hatim bin Ibrahim ke baad aap ke farzand aur Mazun Syedna Ali bin Hatim 4th Dai bane.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 21