History Chapter 19

4 Jilqad, Hijri 526, Misr mei Imam Aamir par Nizariyo ne qatilana hamla kiya. Zakhmi halat mei ashaab aapko mahel le aaye, jaha darbario ke darmiyan aapne apne farzand Imamuttayyeb a.s. par nass farmayi aur fatemi saltanat ki huqumat apne sautele bhai Abdulmajid ko saupkar waada liya ki Imamuttayyeb oomarlyak ho tab huqumat unhe saup de. Baad mei Imam Aamir a.s. ne  Apne dilband, 21st Imam ko 2 saal ki oomer mei  Apne babul abvab ibne Madyan ko saupkar aage honewali bagawat ki bisharat dete huwe farmaya ki "aap par bhi khtra hai, jab aap par hamla ho tab mere farzand ko aapke damaad Abu Ali ko saup dena.  Imam Aamir a.s. shahid ho gaye, iski khabar milte hi YEMEN mei Maulatena Hurratul Maleka ne Imamuttayyeb a.s. ki dawat kayam ki aur sab masjido mei Imam ke naam ke khutbe padhwaye. Hijri 528 : Imam Aamir a.s. ki shahadat ke 2 saal baad hi Care taker Abdulmajid ki niyat mei farq aaya aur oosne khud ko Imam zaahir kar diya. Ibne Madyan ne turant Imam Aamir ki bisharat par amal karte huwe 21st Imam a.s. ko apne damaad Abu Ali ko saup diya. Ibne Madyan ko bhi shahid kar diya gaya.  Abu Ali 21st Imam ko lekar dawat ke chuninda hudud ke saath Misr, Kahera se magrib ki taraf Algeria ke paar Morokko ki taraf samandar ke raaste nikal gaye. Iss tarah 21st Imam a.s. Parde mei chale gaye. Hijri 531 Maulatena Hurratul Maleka ne Tayyeb Imam a.s. ki huzur mei kai hadiyaat Sultan Ahmed bin Husain Sulehi ke haatho bheje. Hijri 532 : Maulatena Hurratul Maleka aur Maulana Yahya ne Imam Aamir a.s. ne kiye huwe  farman ke mutabiq SATAR KE PEHLE DAI SYEDNA ZOEB KO KAYAM KIYA. Iss tarah Satar ke daur ki shuruaat hui. Shaaban 22 ko Maulatena Hurratul Maleka 92 saal ki oomar mei wafat huwe. Imam Aamir a.s. ki shahadat (526) se Satar ke daur ke pehle Dai ke kayam hone tak (532 tak) 6 saal aap ne Fatemi Dawat ki baagdaur bakhubi samhali. Aap Jijibala Jame'a mei madfun hai.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 20