History Chapter 18

Hijri 487 : Dawat ka noor Hindustan pohcha. Isi saal 28 Jilhaj ko Imam Mustansir Billah a.s. wafat huwe. Aap dawat ke takht par sabse zyada arse tak kaabiz rahe (60 saal, 3 nahine aur 18 din). Imam Mustali a.s. takht par aaye. Aap ke bade bhai Nizar ne aap par hui nass ko nahi maana aur khud Imam hone ka dawa kiya.Nizar ko maannewale Nizari kehlaye aur HUM Imam Mustali a s. ko maannewale MUSTALI kehlaye.  Iss tarah dawat mei ek aur firka huwa. Hijri 490 : Imam Aamir a.s. ki viladat hui. Hijri 495 : Imam Mustali a.s. wafat huwe, Imam Aamir a.s. takht par aaye. Yemen mei Maulatena Hurratul Maleka ko Imam ke HUJJAT ka martaba haasil huwa. Imam Aamir ke jawza ne Misr mei Abbas Alamdar a.s. ke bahen aur Muslim bin aqil a.s. ke Jawza Ruqaiyyah ki Zarih banayi. Yemen (Hamdan) mei Dail Balag Syedna Lamak wafat huwe. Aap ne apne farzand Syedna Yahya ko ilm aur amal mei kaamil banaya tha. Imam Aamir a.s. ne Syedna Yahya ko Dail Balag ke martabe se nawaza. Hijri 520 : Syedna Yahya bin Lamak wafat huwe. Yemen mei Maulatena Hurratul Maleka ne Hudud kiram ki madad se Dawat ki baagdaur sambhal li. Hijri 524 : 4 Rabiul Aakhir : Imamuttayyeb a.s. ki viladat hui. 21st Imam ki viladat ki khushi mei shaandar jashn manaya gaya.  Hijri 525 : Maulatena Hurratul Maleka ne Sana'a mei Jame'a masjid mei Kufi khat mei Panjan a.s. aur 21 imamo ke naam likhwaye. Imam Aamir a.s. ne Hurratul Maleka ko Sharif Haidar ke haatho ek khat aur purana rumal bhejkar apni shahadat ki bisharat di aur khat mei apne farzand Imamuttayyeb ko agle Imam zaahir kiye.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 19