History Chapter 17

Imam Mustansir Billah a.s. ke daur mei kai aala auliya huwe. Hijri 440 : Syedna Khattab aur Maulatena Hurratul Maleka ki viladat hui, dono dudh bhai bahen thei. Imam Mustansir a.s. ke Dail balag Syedna Ali bin Sulehi ke haath par YEMEN mei dawat bahot faili. Syedna Moayyed Shirazi ne Siraz aur Pharis mei dawat failai. 451 : Iraq fateh huwa  453 : Iran mei Syedna Moiyyed Sirazi ne dawat kayam ki aur masjid banayi. 461 : Maulatena Hurratul Maleka ki shaadi Dai Syedna Ahmed se hui. 467 : Imam MustaAli a.s. ki viladat hui. Isi saal Imam Mustansir Billah ne Dai Maulaya Ahmed ko Hindustan bheja. Kaafi arse tak aap Hind mei rahe lekin Arebic aur Hindustani zabano ke farq ki wajah se dawat failane mei dikkat thi. Tab 2 garib Brahmin bachche BALAMNATH aur ROOPNATH ko apne saath lekar Dai Ahmed Yemen ke raaste wapas Misr, Imam ki hazrat mei pahoch gaye. Oon dono bachcho ko Imam a.s. ne 20 saal tak ilm se nawaza aur naye naam (BALAMNATH ko MAULAYA ABDULLAH aur ROOPNATH ko MAULAYA NURUDDIN) dekar Syedna Ahmed ke saath Hijri 487 mei feer se HINDUSTAN bheja. Aap teeno GUJARAT ke KHAMBHAT bandargah par daakhil huwe. Maulaya Ahmed aur Maulaya Abdullah Gujarat mei dawat failane ruke aur Maulaya Nuruddin ko Dekkan bheja. Sab se pehle dawat qubul karnewale thei KHAMBHAT ke KAKA AKELA & KAKI AKELA. PATAN, Gujarat ke Raja Siddhraj Jaisingh ke wazir Tarmal aur oonke bhai Bharmal ne dawat qubul ki. Dono bhaio ke bete MAULAYA YAKUB aur MAULAYA FAKHRUDDIN ne dawat ko failane ka jimma utha liya. Iss tarah DAWAT HINDUSTAN mei daakhil hui. Tarmal ke farzand, hamare Babji maula Syedi Fakhruddin Shahid waaghad ke ilaako mei dawat faila rahe thei. Tab woh Naujawan thei, 24 se 27 saal ki oomer batayi jaati hai. Oonki tablig ke dauraan waha ke bhil logo ne unke imani libas se galatfehmi mei aakar unko Galiakot mei shahid kar diya. (Babji Maula ki shahadat ki sahi taarikh darj nahi hai). Bhilo ko unki galti ka pachtawa aaj bhi hai jo oon ki nasal mei jaari hai jo Galiyakot mei mazar ke baahar nazar aata hai.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 18