Hijri 369 : Imam Aziz a.s. ne Misr mei Maulatena Zainab a.s. ka Naya Kubba banaya. 386, 28 Ramadan, Imam Aziz a.s. wafat huwe, Imam Haakim Imamat ke takht par aaye. 392 : Imam Haakim a.s. ne sharab par sakhti se paabandi lagaai aur sharab se judi hui har chiz ki fasal bhi bandh karwai. 410 : Imam ke farman par Dai Syedna Hamiduddin Kirmani Madina gaye aur Imam Jafaruss Sadiq a.s. ka makaan khulwakar Dawat ki kitabe aur aslah lekar aaye. 411, 27 Shawwal, Imam Haakim a.s. wafat huwe, Imam Zahir a.s. takht par aaye. Hijri 420, Ramadan 16 ko Imam Mustansir Billah ki viladat hui. 427 : Imam Zahir a.s. wafat huwe aur Imam Mustansir Billah a.s. 7 saal ki umar mei Takhte Imamat par mustavi huwe.
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 17
.......To be continued......
Next👉 History Chapter 17