History Chapter 11

Hijri 114 : Imam Baqir a.s. wafat huwe. Imam Jafaruss Sadiq a.s., 5 ve Imam huwe. Hijri 132 :  Aapke daur mei Bani Umaiyyah ki saltanat khatam hui aur Banil Abbas ki saltanat shuru hui.  Karbala mei Imam Husain a.s. ke mazar aur masjid ki taamir hui. Hijri 148 : Imam Jafaruss Sadiq wafat huwe aur Islam mei firko ka daur shuru huwa. Nabi sahab ki Ummat mei kai musalmano ne Imam Jafaruss Sadik ko aakhri Imam maana. Shiyao mei bhi 2 firqe ho gaye. Imam Jafaruss Sadiq ke bade bete Imam Ismail a.s.(hamare aqide ke mutabiq 6th Imam) ko  maanne wale (HUM) ISMAILEE kehlaye, Aur dusre bete Musa Kazim ko Imam Maannewale Ishna ashri Shiya kehlaye. (Yaha ye clear nahi hai ki Imam Jafaruss Sadiq ki hayat me hi aap ke mansoos Imam Ismail wafat ho chuke thei ya nahi. Kyo ki Musa Kazim ke followers, Ishna ashri shiyao ka ye hi maanna hai). Iss dauran west Africa mei Imam Jafaruss Sadiq ke bheje huwe Dai Halwani aur Dai Abu Sufiyan ne dawat kayam ki. Imam Ismail a.s. ke wafat aur aap ke bete Imam Mohammed a.s. ki takhtnashini ke waqt ka zikar hamari history mei saaf nahi hai.  Iske baad ke kai saalo ke waaqiyo ka zikar bhi hamari history mei nahi hai. Hijri 197 : 7 ve Imam Mohammed bin Ismail a.s. wafat huwe aur 8th Imam Abdullah a.s. takhte Imamat par aaye.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 12 to 15