History Chapter 12 To 15

(in short) :
Hijri 208 Imam Hasan ki padpoti Assyedah Nafisa Misr mei wafat hui. Hijri 212 : Imam Abdullah a.s. wafat huwe, Imam Husainil Mastur Imamat ke takht par aaye. Hijri 236 : Mutavakkil Abbasi ne Imam Husain a.s. ka kubba tudwa diya aur ziyarat band karwa di. Hijri 260 Imam Mehdi a.s. ki viladat hui. 268 : Imam Husainil Mastur wafat huwe, Imam Mehdi a.s. takht par aaye. 270 : Yaman mei Dai Abil Qasim ke haatho par dawat ka noor faila. Imam Mehdi ki saltanat kayam hui aur zuhur ki tayyari hui. Hijri 296 mei Dai Abi Abdillah ne 2 lakh ke lashkar ke saath Imam Mehdi a.s. ko SIjilmasa ke Hakim ki qaid se riha karwaya aur Julus ki shakelat me unka ZUHUR huwa. 297 : Kerwan, Rakkadah, Sijilmasa fateh huwe. Mehdiyyah naam se ek port abaad kiya. Imam Mehdi ke naam ke sikke jaari huwe aur Fatemi Saltanat kayam hui. Imam Mehdi a.s. ke daur mei aapke bete Imam Kaem a s. ke haatho par kai fateh hasil hui aur Fatemi Saltanat kaafi faili. Hijri 322 : Imam Mehdi a.s. wafat huwe, Imam Kaem a,s. Takht par aaye. Aap ke daur me Dajjal ki fitnat hui. Hijri 334 Imam Kaem a.s. wafat huwe, Imam Mansur takht par aaye. Aapne Imam ke wafat ki khabar makhfi rakhkar Dajjal aur ooske bete Fazal ko maat di. Aap ke bete Imam Moiz a.s. ne 17 saal ki umar mei jung mei Fazal ko qaid karke zauhar dikhaye. Hijri 337 Imam Mansur ne MANSURIYAH shahar basaya. 341 : Imam Mansur a.s. wafat huwe aur Imam Moiz Takht par aaye. Hijri 358 : Imam Moiz a.s. ne Hazrat Qaeed Zohar ko Misr fateh karne bheja. 17 Shaban (7 July 969) ko Misr fateh huwa aur Imam ke naam se Al kaheeatul Moiziyah shahar basaya gaya. Hijri 361, 7 Ramadan ko Islam ki pehli University Jamea Azhar ki iftetah hui. Hijri 365 Imam Moiz a.s. wafat huwe. Aap ka daur Fatemi Saltanat ka sunehra daur tha. Imam Aziz a.s. takht par aaye.

.......To be continued......

Next👉 History Chapter 16