Banu Hashim ki NASAL mei Hashim ibn Abd Manaf (Jawza Salma) ke farzand Abdul Muttalib (Jawza Fatema) ke Farzand Abdullah aur Aminah ke ghar Hamare NABI SAHAB ka janam san 570 mei huwa. Bachpan mei hi vaalid Abdullah ka inteqal ho gaya aur apne dada Abdul Muttalib ke ghar Nabi sahab ki parvarish hone lagi. Ooske kai saal baad Abdullah ke bhai Abu Talib aur Fatema ke ghar Ali A.S. ki viladat hui, oos waqt Mohammed s.a.w. bhi Abi Talib ke ghar hi parwarish paa rahe thei, kyo ki Dadaji ka bhi inteqal ho chuka tha. Yaani Nabi sahab aur Maula Ali ye dono Abi Talib ke ghar ek saath parvaan chadhe.
.......To be continued.......
Next👉 History Chapter 2