Hijri San 2 mei Maula Ali a.s. aur Maa Fatema a.s. ki shaadi hui aur isi saal nabi sahab ki shehzaadi Ruqaiyya wafat hui. Hijri 3) : Ramadan 15 ko Imam Hasan a.s. ki viladat, Jung e Ohad mei Maula Ali a.s. ke haath par fateh. Hamza a.s. shaheed huwe. Jibraeel a.s. Khuda ki taraf se Maula Ali ke liye paigham lekar aaye "LA FATEH ILLA ALI, LA SAIF E ILLA ZULFIQAR"........ Hijri 4) Shaaban ki 5 ko Imam Husain a.s. ki viladat hui aur Aalam mei PANJATAN ki maujudgi mukammal ho gayee. (Ab Panjatan ke pancho zawahir Zamin ki pith par maujud thei.) Banu Nudar ki jung hui..........Hijri 5) Zatuljhundun ki jung, Bani Qureda ki jung, Khandak ki jung, jis mei Arab ke Rawat ladaake Abde vad ko Maula Ali a.s. ne qatal kiya.
......to be continued.......
Next👉 History Chapter 5